Tuesday 30 August 2011

Ae khuda bata zara....

Ae khuda bata zara..
kab tak gareeb ko tadpayega...
kya nahi wo tera banda...
bhala kab tak sahta jayega...

aankh khuli to roya wo bhi...
tha wo bhi utna hi masum...
kuch nahi tha to ek makhmali chaadar...
naa hi tha wo haspataal...
ghar k kamre mein hi kahin...
jaga tha wo nanha farishta,
maa k pyare se aanchal se...
dekh raha tha ye sansaar...
bheegi palkon se pita ki...
chalak utha saara dulaar...
lutana chahe wo bhi sab kuch aaj...
kya khushiyan bhi hain paison ki mohtaaz...

ae khuda bata zara...
kab tak gareeb ko tadpayega...
kya nahi wo tera banda...
bhala kab tak sahta jayega...


jab na mila jhulne ko paalna...
jhulaya maa ne apni god mein,
naa mila jab khelne ko ghoda...
paya usne ghoda apne hi baap mein,
gaay to thi par dudh na tha...
shayad isiliye wo majboot na tha...
peekar din bhar sirf paani...
khilaya usko haathon se...
bahakar din bhar khoon pasina...
sichaya usko din raaton se...
jaag jaag kar raat raat bhar...
usko sulaya apni baaton se...
lutana chahe jab wo sab kuch aaj...
kya sapne bhi hain paison k mohtaaz..

ae khuda bata zara...
kab tak gareeb ko tadpayega...
kya nahi wo tera banda...
bhala kab tak sahta jayega...


Hosh sambhala pita se pucha
kya main bhi kuch ban paunga
taang kamar par baste ko
kya main bhi school jaunga
ya tinku minku ki tarah
main bhi khet mein aaunga
is dhoop mein nanhe per jalakar
kya main bhi hal chalaunga
dekhkar masumiyat uske chehre par...
bhar aayi pita ki aankhen
laga liya jigar se usko...
sunkar bete ki baaten
band par uski hatheli
bola sun beta mere lal
tere liye is jeevan mein
kuch bhi main kar jaunga
din raat khudko main jalakar
tujhko zarur padhaunga
main tujhko zarur padhaunga
kya teri banayi duniya mein
aarmaan bhi hain paison k mohtaaz...

ae khuda bata zara...
kab is gareeb ka bhi waqt aayega
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sehta jayega...

gaon mein vidyalaya na hone par
shahar jaa pahucha insaan
lekar saath apni jholi mein
jo bhi kama paaya kisaan
naa khaya kabhi bhar pet usne
naa kabhi bana paya makaan
magar putra ki ichcha puri karne
naa aaya uske kuch bhi dhyaan
kya pta tha vidya k mandir mein
ab baithe hain haivaan
khai thokar har mandir mein
jahan kabhi batta tha gyaan...
bik rahi thi vidya unme
ab bik chuka tha har insaan...
per pakde, gidgidaya
jhukakar apna wo imaan
par murdo ki basti mein
sirf baste the ab shaitaan...
sirf baste the ab shaitaan
kya gyaniyon ki is duniya mein
vidya bhi hai paison ki mohtaaz...

ae khuda bata zara...
kab is gareeb ka bhi waqt aayega...
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sehta jaayega...


din bhar apne ghar ki chokhat se
dekh raha tha pita ki ki rah...
padh likhkar banna tha doctor...
bas yahi thi uske dil ki chah...
dekh pita ko dur se aata...
khil utha sara parivaar...
par dekh kar aankhen nam pita ki...
samajh gaya wo sara saar...
bin panpe us nanhe dil ki...
murjha gayi saari bahaar...
batakar patni ko saari beeten,
usne kosa apni kismat ko
aaj padhne k liya bhi
aaj har kisi ko rishwat do...
dekh bete ki haalat ko...
sambhal na khudko wo paya,
bechkar gehne aur samaan ko
liya usne jo le paya,
lekar karz apne seene par,
bete ko bharti karaya...
uska pyaar bete k liye
naa tha paison ka mohtaaz...

ae khuda bata zara
kab is gareeb ka bhi waqt aayega
kya nahi wo tera banda,
bhala kab tak sehta jaayega...


din raat pasina bahakar bhi
naa chuka paya wo karz...
chhati cheer is dharti ki
nibha raha wo pita ka farz...
pita ki haalat se anjaan
padh raha tha wo balwaan..
saare khel chhod chhad kar
sirf padhai mein hi tha uska dhyaan...
bhuka raha kar us baap ne
seencha apne bete ko,
dekar usko saari khushiyan
bacha na paaya apne praan...
bacha naa paya apne praan...
marte samay bhi haath jod kar
maangi bete se shamaa,
beta mujhko maaf karna
na paaya main kamaa...
majhdaar mein tujhkar akela chhodkar
jaa raha main pardes...
maa ka apni dhyaan rakhna
naa pahuche usko kabhi bhi thhess...
aaj apne bete ki nazar mein
baadshah tha wo betaaj
pita ka pyar na tha na hoga
in paison ka mohtaaz... in paison ka mohtaaz

ae khuda bata zara
kab is gareeb ka bhi waqt aayega,
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sehta jaayega...
bhala kab tak sahta jayega


maa k kando par ab
thi sari zimmedari
gharon mein bartan maaz maaz kar
nibhayi usne wo sari...
bete ko padhane k liye bas
sab sahti gayi naari
padi bimar chahe hui laachar
par usne himmat naa haari
apne bachche k liye usne
sari apni khushiyan vaari...
khari khoti sunkar logon ki
karti gayi wo apna kaam
sahti gayi sare dukh wo
lekar sirf tera hi naam
dekhkar maa ki haalat ko
beta thokar kha gaya,
chhod kar saari kitaaben
waapas gaon aa gaya
beta apni maa ki khaatir
kismat se takra gaya
kitaab kalam wale haathon mein
bail aur hal aa gaya
bikhar gaye sare sapne
khali haath khada tha aaj..
paison ki is dniyan mein
kya sapne bhi hain mohtaaz..

ae khuda bata zara
kab is gareeb ka waqt aayega
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sahta jayega


khoon paseene se seench kar
kheton mein phir daali jaan
maankar kheton ko pita usne
bhada diya uska bhi maan
chuka diya pita ka karz
din raat usne mehnat karke
kosa khudko pita ki maut par
padhne ki ichcha karke
din sudhre to shaadi ho gayi
ghar aa gayi grahini..
khushiyon k din na rehte zada
phir hua tera prahaar
ek baar phr us gaon ne
saha sukhe ka prahaar
khet sukh gaye paani na milkar
phir chali gayi bahaar
roya phir wo bilakh bilakh kar
lut gaya saara sansaar
naa milne se dawai
maa bhi uski chal basi...
bhul chuka tha wo ab tak
kya hoti hai khushi
kya tere in paison ki...
khushiyan bhi hain mohtaaz...

ae khuda bata zara
kab is gareeb ka waqt aayega
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sehta jaayega...


diya janam jab beti ko
khushi ko apni maar gaya
soch kar apni haalat wo
phir se chakkar kha gaya
saha jo usne zindagi bhar
wo beti na saha paayegi
dekhkar usko is haalat mein
kaise maa raha paayegi
sochkar saari baaton ko
mar gaya uska insaan
tod kar saari hadon ko
le liye usne bachchi k praan
cheen kar maa se uski bachchi
rah na paaya wo sukhi
chhod gayi biwi bhi usko
kar gayi usko aur dukhi
raha gaya akela is duniya mein
par chahta tha wo bhi yahi
jo dekha uske maa baap ne
na dekhe biwi bachchi wahi
kha gayi bhukmari bhi usko
le chali uske praan
jate jate phir bhi usne
liya tera hi naam bhagwan
samajh gaya tha wo itna to
zindagi hai paison ki mohtaaz

ae khuda bata zara
kab is gareeb ka waqt aayega
kya nahi wo tera banda
bhala kab tak sehta jayega
bhala kab tak sehta jayega
kab tak sahega tera prakop wo
bta kab tak use tadpayega
ek din aisa aayega
jab sabr ka pul tut jayega
kya nahi wo tera banda...
bhala kab tak sehta jayega






Saturday 6 August 2011

Bas Yaaden Raha Jaati Hain...

dada se shaitani, dadi se manmani
papa ki maar aur maa ka dulaar
chote chote haathon mein wo
sare school ka bhaar
pencil copy aur takhti
sari kitaaben chali jati hain
zindagi ki daud mein
bas yaaden rah jati hain


ladakpan ki baaten, doston se mulakaaten
wo girlfriends se chup chup kar baaten
raat bhar ki padhai
phr no. k liye chadhai
wo bimari ka bahana
badle mein picture dekhne jana
sari aiyaashiyan chuut jati hain
zindagi ki daud mein
bas yaaden raha jati hain.


yaaron ka yaarana, proffessor ki daant
aur doston ka pyar
chehre gum jate hain bas baaten raha jati hain
zindagi ki is daud mein
bas yaaden rah jati hain


aaj un yaadon ko sanjone ko ji chahta hai
sabko 1 khubsurat mala mein pirone ko ji chahta hai
aaj bhi jab kisi lamhe ko yaad karke
chalak uthta h 1 moti aankhon se
aaj phir us lamhe ko dobara jeene ko jee chahta hai

Saturday 30 July 2011

Main Khudko Dhundta Hun Akele Mein...

This one's one of my favorite....

Aaj main khudko dhundta hun akele mein
wo khilono ki khankar
wo bado ka pyar...
wo maa ka dulaar
wo sharaarat aur wo maar....
wo BACHPAN dhundta hun akele mein...
aaj main khudko dhundta hun akele mein....


wo masti wo khel...
wo doston ka mel
kabi paas to kabi fail
jab ghar lagta tha jail...
wo aansu wo hasi...
pal mein khush aur pal mein dukhi....
wo MASUMIYAT dhundta hun akele mein....
aaj main khudko dhundta hun akele mein....


wo college mein raat bhar padhai...
wo doston se ladai...
wo proxy wo bunk...
wo attendance k liye chadhayi....
wo din bhar khel aur raat ko jashn...
wo pariksha mein cheating se kiye hue prashn....
wo JAWANI dhundta hun akele mein...
aaj main khudko dhundta hun akele mein.


aaj shayad mera soya zameer jaga..
ehsaas hua ki shihrat k peeche main bahut bhaga...
chuut gaya sab kaamyabi ki jhamele mein....
kho gaya tha main kahin is duniya k mele mein...
aaj dhundta hun main khudko akele mein...
aaj main khudko dhundta hun akele mein....

Friday 29 July 2011

My Upcoming Book... A True Love Story...


In India inter caste love or marriage is still taken as crime. Is there any particular age when u can fall in true love?? Or does your caste decide whom you can love. This story is based on a similar situation. Siddhartha is a middle class aggarwal family boy who lives in a small town. He has a normal life with great ambitions. Everything is going good until he is shifted to a metropolitan city where he finds the girl of his dreams and this is the time when everything changes. The girl happens to be from a rich jaat family in Gurgaon who is very beautiful and loves him a lot. But every spring season is followed by autumn n so does in real life. They were separated by their parents and the girl was sent abroad for studies while Siddhartha remains in ncr and completes his study. In college life he meets a girl whom he likes a lot but not able to decide if its love although on the other hand he still waits for his ex to return someday … and hopes they will meet again… what happens ???
Would she come back?? Or will he fall in love with a girl in college?? Will it be a new beginning for him or the end of life?? Will he be able to survive the catastrophe???

INTZAAR...


HI GUYS THIS IS an effort to reach you all before i end up into my final stage... you guys are my inspiration and it is you from where ma thinking come from and so do my ideas... so ultimately you are the ones to judge if its worth it... i am adding a page of mine please lemme noe if u like it... if u find some mistakes...or if u can suggest something ... i would be really glad.
Insert images from your photo albums into your content!

aksar pucha logon ne mujhse
kitna pyar kiya humne tumse
dhadkane boli par zuban chup rahi
aur hum chupate rahe jawaab sabse
aaj aapne pucha hai humse
kyun kiya humne aapka intzaar
to janiye is dil ka haal sarkar
janiye kyun hai ye dil aapke liye bekaraar

chalte kuch aur dur sath mere
to jaan pate kyun kiya maine tumara intzaar
karte jo tum bhi mohabbat humse
to jaan pate kyun kiya humne tumara intzaar

nami jo dikhti hamari aankhon mein
khushi jo hoti thi tumhari baaton mein
haste muskurate din the jaise
kuch aur din rehte hamari baahon mein 
to jaan pate kyun kiya humne tumara intzar

muskurate tum bhi jo mere saath
na chudhate yun mujhse apna haath
haste meri khushi mein aur rote bhi mere gam mein
kabhi samjhi hoti tumne is masum dil ki baat
to jaan pate kyun kiya humne tumara intzaar
choti si zindagi aur umeeden hazaar
shayad ab to mulakat ho zindagi ke us paar
khush raho tum bas yahi dua hai hamari
lekin jis din karoge kisise hum jaisa pyar
to shayad jaan paoge kyun kiya humne tumara intzaar
to jaan paoge kyun kiya humne tumara intzaar....