May be if she would have lived... she might have said something like this:
Andhera hi jeevan hai ab mera...
ujalon se muje ab dar lagta hai....
Pathareele aise raaston mein
mujhe phulon se dar lagta hai....
Nafrat ki hai duniya ab isme...
mohabbat se dar lagta hai...!
Jo hua wo shayad naseeb tha mera....
apni hi haathon ki lakeeron se dar lagta hai....
agar insaan ise kehte hain...
to muje shaitan se zada insaan se dar lagta hai...!
Hai dushman nahi wo log mere...
muje to is samaaj se dar lagta hai...
agar insaaf ye hai... rashtravaad ye hai....
to muje jurm se zada insaaf se dar lagta hai...!
Agar haqeeqat itni khaufnak hoti hai...
to ab muje sapne dekhne se dar lagta hai....
Gairon se main kya gila karun...
ab to muje apno se hi dar lagta hai!
Jurm shayad itna hai bas mera ki main jeena chahti hun
Par ab to mar mar k is jeene se bhi dar lagta hai...
Haan main 1 aurat hun... paap hai ye mera...
puchungi us khuda se jakar... kya use bhi kabhi dar lagta hai...
Maa mujhe bahut dar lagta hai....!!!
May you Rest in Peace Sister...!!!