Hai kayar ki ye nishani … chaudi chati aur
manmani
Hai ghamand tujhe kis baat ka… hai afsos
mujhe is baat ka
Tere hote hue bhi
wo pareshan hai… haan tu hi wo haiwan hai
Na kos use... na tod
use... na naram samajh to mod use…
Is desh ka wo abhi
maan hai… naari bhi ek insaan hai…!
Ja puch uske dil
ko tu, ja tatol uske man ko tu
Wo kya kehna
chahta hai..Kya wo bhi jeena chahti hai... Kya wo bhi hasna chahti hai
Ya is samaaj ke bas
wo taane sehna chahti hai...
Uske bhi kuch
armaan hain... uska bhi aatm samman hai...
Haan nari bhi ek
insaan hai, haan naari bhi ek insaan hai!
Jiska tu ansh
hai... jiska tu vansh hai... Jiska abhiman hai... jiski tu shaan hai...
Tu jiske sir ka
taaz hai... jise tujh par har pal naaz hai...
Tu kyun usi ko
noch raha... kyu uski azaadi daboch raha...
Chal uth.. chal uth
aur usko batla de... umeed ka suraj dikhla de..
Uska sarvshreshtha
sthan hai... usse hi ye jahaan hai...
Haan naari ek
insaan hai! Haan wo bhi ek insaan hai!!!
No comments:
Post a Comment